Doston, hum news mein kabhi-kabhi sunte hai ki kisi company ya kisi vyakti dwara Insider Trading kiya gaya hai jis karan company par janch baith gayi hai. Humne share bazaar mein trading ke baare mein to suna hai lekin ye Insider Trading kya hai. To aaj ke apne is lekh mein hum Insider Trading ko vistar se jaanenge tatha padhenge ki Insider Trading kya hai, kya Insider Trading karna sahi hai?
Read also:
7 Aaj ke Hot Stocks jo aapko Watch karne chahiye India ke Market mei
Muhurat Trading kya hai? / Muhurat Trading kab hota hai?
India’s Best Share Market Blog in Hindi
Insider Trading Kya Hai
Share bazaar mein listed companies ke baare mein gupt jankari (aisi jankari jo saarvajanik na ho jaise adhigrahan, vilay tatha timahi nateje) ke aadhar par company ke share mein kharid-bikri karna Insider Trading kehlata hai.
Darasal, jab company ke acche result ya acche news aate hai tab company ke share mein badi tezi aa jati hai; theek iske vipreet, jab company ka result kharab aate hai ya koi buri news aati hai, tab company ke share niche gir jate hai.
Theek iske vipreet jab Insider Trader ko pata chalta hai ki company se sambandhit kharab news aane wala hai, tab ve company ke share mein short selling kar dete hai tatha jab company se sambandhit kharab news saarvajanik hota hai aur company ke share niche aate hai tab company ke share kharidkar apna munafa bana lete hai.
Insider Trading karne wale trader company ke andar ki baat pata laga lete hai. Ve company ke result aane se pehle company ke kisi bhi karmchari ya management se ye pata laga lete hai ki company ke result acche aane hai ya bure aur company ke management mein kya parivartan hone wala hai. Jab company se sambandhit koi acchi news hoti hai tab Insider Trading karne wale trader news bahar aane ke pehle company ke share kharid lete hai aur news bahar aane ke baad jab company ke share upar chale jate hai tab share bech kar bada munafa kama lete hai.
Insider Trading Karna Sahi Hai Ya Galat ?
Bhartiya share market mein is tarah ki trading (Insider Trading) karna gair kanooni hai arthaat apradh ki shreni mein aata hai. Bhartiya vittiya bazaar ka regulator Bhartiya Pratibhooti aur Vinimay Board hai jise hum SEBI – Securities and Exchange Board of India ke naam se jaante hai. Iska mool lakshya pratibhootiyon (securities) mein nivesh/trade karne wale niveshkon/traders ke hiton ka sanrakshan karna hai.
To ab sawal ye hai ki share bazaar mein trading to bohot saare log karte hai to ye Insider Trading karna apradh ke shreni mein kyon aata hai. To aaiye ab ise samajhte hai.
Share bazaar mein ek baat to tay hoti hai ki yadi aap paisa kama rahe hai to koi anya vyakti aisa hai jo apne paise gawa raha hai. Share bazaar mein trading kar paisa kamana koi galat kaam nahi hai lekin kisi ko dhokha dekar paisa kamana galat baat hai. Insider Trading karna, ek prakar se kisi ko dhokha dene ke samaan hi hai. Aaiye jaante hai kaise:
Jab kisi company se sambandhit acchi news saarvajanik hoti hai tab kaide se dekha jaye to company ke share ko upar jana chahiye. Company se sambandhit acchi news aane ke baad trader dwara company ke share mein badi kharidari ki jati hai jis karan se company ke share mein badi tezi aa jati hai lekin ve Insider Trader jo pehle hi share kharid chuke hai, ve apna position square off (kharide share ko bechna) karne lagte hai jis karan se company ke share niche gir jate hai. Company ke share niche gir jane se news saarvajanik hone ke baad share kharidne wale trader ko loss uthana pad jata hai.
Theek isi prakar kharab news aane ke pehle short selling kar dete hai tatha news aane ke baad jab share ki keemat gir jati hai tab share ko kharidkar munafa kama lete hai. Waise share bazaar mein kharid-bikri karna koi galat baat nahi hai lekin tab jab aap chart ka technical analysis kar apne trading strategy ke anusar trade lete hai. Lekin yadi aap kisi insider news ke bal par koi trade lekar labh kamate hai to yeh puri tarah se gair kanooni hai.
Insider Trading ki nigrani kaun karta hai?
Bhartiya vittiya bazaar ka regulator Bhartiya Pratibhooti aur Vinimay Board hai jise hum SEBI – Securities and Exchange Board of India ke naam se jaante hai. Iska mool lakshya pratibhootiyon (securities) mein nivesh/trade karne wale niveshkon/traders ke hiton ka sanrakshan karna hai. Insider Trading karne wale trader bhi anya niveshkon tatha traders ko dhokhe se nuksan mein dal kar apna munafa banate hai. Is karan se iski nigrani bhi Bhartiya vittiya bazaar ka niyamak sanstha SEBI dwara kiya jata hai.
Jab bhi kisi company ka share anumiyit roop se trade karta hai ya jab bhi SEBI ko lagta hai kisi company ke share ko manipulate kiya ja raha hai tab SEBI in company ke share mein kharid-bikri ke aankadon tatha kharid-bikri karne wale niveshak ya trader ke action ki janch karti hai. Janch ke baad yadi SEBI ko lagta hai ki kisi trader dwara Insider Trading ki ja rahi to SEBI company ke management ya trader mein jo bhi doshi ho usse arthik dand ya jail ka rasta dikhaya ja sakta hai.
Today We Learned
Mere priya pathakon, aaj ke apne is lekh “Insider Trading kya hai / Insider Trading se log paise kaise kamate hain?” mein hum sabne jana Insider Trading kya hota hai, tatha Insider Trading karna kyon sahi nahi hai.
Hum asha karte hai ki ab aapko Insider Trading se sambandhit sabhi prashnon ke uttar mil gaye honge. Aapko hamara yeh post kaisa laga hume comment kar avashya bataye. Yadi aapko yeh lekh accha laga ho to ise apne doston ke saath avashya share kare.