Muhurat Trading kya hai? / Muhurat Trading kab hota hai?

Mere pyaare pathako, aapne trading ke bohot saare prakar ko suna hoga. Aaj hum sab ek anokhe trading ke baare me jaanenge jiska naam hai Muhurat Trading. Muhurat Trading, aap jab chahe tab nahi kar sakte hain. Iske liye ek nirdharit samay hota hai. Us samay ke madhya kiye gaye trade, Muhurat Trading ke antargat aate hain.

Muhurt Trading (Muhurt Trading) ya shubh trading ek aisi pratha hai jo dharmik parampara tatha vittiya bazaar ko aapas mein jodti hai. Pratyek varsh Diwali ke pavan parv ki sandhya kaal mein shubh trading ka aayojan kiya jata hai. Diwali ke pavan parv par shubh trading ka aayojan 1 ghante ke liye kiya jata hai. In 1 ghante ke andar aap samanya trading-day ke samaan sabhi kaam kar sakte hai. Traders ka aisa maana hai ki is din trading karne se ya bazaar mein nivesh karne se pure saal unki kismat acchi ho jati hai.

History of Muhurt Trading

NSE tatha BSE dwara Muhurt Trading ki shuruaat kai dashak pehle kiya gaya tha. Muhurt Trading ki shuruaat 1957 mein Bombay Stock Exchange (BSE) dwara kiya gaya tha. National Stock Exchange (NSE) ke sthapna ke baad 1992 mein ise NSE ne bhi apna liya. Tab se lekar ab tak har Diwali ki sandhya kaal mein is shubh trading ka aayojan dono exchange dwara kiya jata hai.

Meaning of Muhurt

Muhurt ek Sanskrit shabd hai jiska arth hota hai ‘accha samay’ ya ‘shubh kshan’. Bharatiya sanskriti mein koi bhi mahatvapurn karya karne se pehle shubh muhurat dekha jata hai. Diwali ke din sabse bada shubh muhurat maana jata hai kyunki isi din Bhagwan Shri Ram, Lankapati Ravan ko maar kar Ayodhya wapas lote the. Is karan se NSE tatha BSE dwara is pavan bela ki sandhya mein shubh trading ka aayojan kiya jata hai.

Read also:

India’s Best Share Market Blog in Hindi

7 Aaj ke Hot Stocks jo aapko Watch karne chahiye India ke Market mein

Muhrat Trading Ke Doran Kya Kiya Jata Hai

Is pavan bela ki taiyari vyapari dwara pehle se ki ja rahi hoti hai. Is din trader devi-devtao ki puja karte hai tatha mantrocharan kar unse ashirvad maangte hai. Pujan tatha mantrocharan ka karya trading aarambh karne ke pehle hi poorn kar liya jata hai. Pujan karyakram samapt ho jane ke baad trading ya nivesh ka karya aarambh kiya jata hai.

Muhrat Trading Timing, Session Kya hai

Pre-Open Satr: Ye trading satr ka pehla satr hota hai jisme stock exchange equilibrium ki keemat nirdharit karte hai. Samanyatah Muhurt Trading ka aarambh Diwali ki shaam 6:00 baje se kiya jata hai. Isme pre-open satr Bharatiya samay anusar 6:00 PM se 6:08 PM ke madhya open rehta hai.

Order Milan Satr: 6:08 PM se lekar 6:15 PM tak ka samay order milan ka samay hota hai. Isme pre-open satr mein aaye sabhi order ka milan kiya jata hai. Jo order match karte hai unhe poora karke shesh order ko cancel kar diya jata hai.

Muhurt Trading Satr: 6:15 PM se lekar 7:15 PM arthaat 1 ghante ka shubh trading (Muhurat Trading) satr hota hai. Isme aap samanya trading divas ke samaan kharid-bikri kar sakte hai.

Benefits of Muhurat Trading

Shubh Trading ke labh nimn likhit hai:

Adhik Volatility: Seemit trading samay aur adhik trading volume ke karan, shubh trading adhik asthir hoti hai. Is karan se ye intraday trader ke liye upyukt ho jata hai.

Shubh Muhurt me Trading: Bharatiya parampara ke anusar shubh muhurt me trading karna accha mana jata hai.

Sakaratmak Manovritti: Shubh muhurt me vyapar shuru karne se niveshkon me sakaratmakta aur aashavad badhta hai. Yeh mansik roop se unhe majboot banata hai jo bazaar ke utaar-chadhaav ko behtar dhang se sambhalne me madad karta hai.

Sanskritik Ekta: Muhurt Trading Bharatiya sanskriti ka ek abhinna hissa hai. Yeh logon ko ek sath lata hai aur samajik bandhan ko majboot karta hai.

Muhurat Trading Ki Kuch Mehtavpurn bate

Share ke chayan mein saavdhani barte: Muhurt Trading ka arth ye bilkul nahi hai ki kisi bhi company ke share mein nivesh ya trade kiya jaye. Is dauraan bhi trading ya nivesh karte samay technically tatha fundamentally majboot company ke share mein hi karya karna chahiye.

Technical Analysis avashya kare: Kisi bhi company ke share mein trade karne se pehle us share ka technical analysis avashya kar lena chahiye. Technical analysis ke liye aap candlestick pattern, candlestick chart pattern, ya kisi indicator ka sahara le sakte hai.

Nivesh par adhik dhyan dena: Sabhi broking company dwara apne grahak ko lagatar notification ke zariye bataya jata hai ki har 10 mein se 9 trader loss mein hi rehte hai. Isliye yadi meri salah mane to shubh trading divas par aapko achhi fundamental ki company mein lambe samay tak ke liye nivesh par adhik dhyan dena chahiye.

Final Words

Aaj ke apne is lekh “Muhurt Trading kya hai / Muhurt Trading kab hota hai” mein hum sabne Muhurt Trading se sambandhit sabhi pehlu par charcha kiya. Aaj ke is lekh mein humne jaana ki Muhurt Trading kya hai, Muhurt Trading kab hota hai, ke saath saath humne iske labh ko vistar se jaana.

Hum asha karte hai ki ab aapko Muhurt Trading se sambandhit sabhi prashnon ke uttar mil gaye honge. Aapko hamara yeh post kaisa laga hume comment kar avashya bataye. Yadi aapko yeh lekh accha laga ho to ise apne doston ke saath avashya share kare.

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.